🅿🄾🅂🅃 ➫ 01
••──────────────────────••►
❝ NAMAZ KE WQATON KA BAYAN ❞
••──────────────────────••►
Din & Raat me kuL Pach Namaz e Farz Hain↷ ★
1 ☆➧ FAJAR
2 ☆➧ ZOHAR
3 ☆➧ ASIR
4 ☆➧ MAGRIB
5 ☆➧ ESHA
⚘❂•➤ IN Pacho Namazo Ka Allah Ta'ala Ki Taraf Se Waqt Mukarrar Hai Aur Jis Namaz Ka Jo Waqt Mukarrar Hai Us Namaz Ko Usi Waqt Me Padhna Farz Hai Waqt Nikal Jaane Ke Baad Namaz Quaza Ho Jaati Hai Ab Hum Namaz Ke Waqto Ka Bayan Karte Hai Ki Kis Namaz Ka Waqt Kb Se Shuru Hota Hai Aur Kb Khatm Ho JATa Hai.
⇩◑ ✫ FAJAR KA WAQT ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Subha Saajid Se Shuru Hokar Suraj Nikalne Tak Hai Is Darmiyaan Me Jab Chahe Farz Padhle Lekin Mustahab Ya Hai Ki Farz Ki Namaz Itna Ujala Ho Ja'ane Ke Baad Padhe Ki Masjid Ke Namazi Ek Dusre Ko Dekh Kr Pechanle.
⇩◑ ✫ SUBAH SAAJID ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ EK ROSHNI HAI JO SURAJ Nikalne Se Pahele Aasmaan Ke Purbi Kinaro Me Zaahir Hoti Hai Yaha Tak Ki Yah Roshni Dhere Dhere Poore Aasmaan Me Fail Jaati Hai Aur Ujala Ho Jaata Hai Subha Saajid Ki Roshni Zaahir Hote Hi Saheli Ka Waqt Khatm Aur FAJAR Ki Namaz Ka WAQT Shuru Ho JATa Hai Subah Sadik Jaado Me Takriban Sawab Ghanta Aur Garmi Me Lag Bhag deer Ghanta Suraj Nikalne Se Pahele Zaahir Hota Hai..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 02
••──────────────────────••►
❝ NAMAZ KE WAQATON KA BEYAN❞
••──────────────────────••►
⇩◑ ✫ ZOHAR KA WAQT ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Suraj Dhalne Ke Baad Shuru Hota Hai Aur Thik Dopahair Ke WaQt Kisi Cheez Ka Jitna Saya Hota Hai Us Saya Ke Elava Usi Cheez Ka Saya Doguna Ho Jaie To Zohar Ka WAQT Khatm Ho JATa Hai Zohar Ke WAQT Me Mustahab Ya Hai Ki JO do Ke Awwal WAQT Aur De Karke Namaz Zohar Padhe
⇩◑ ✫ FAIDA✫ ◑⇩
•────•
⚘❂•➤ Suraj Dhalne Aur Dopahair Ke Saya Ke Elava Saya Doguna Hone Ki Pechan Yah Hai Ki Barabar Zameen Par Ek Hamwaar Larki Bilkul Sidhi Is Tarha Gaarh De Ki Poorab Pacchim Uttar Dakhin Ko Zara Bhi JhuKi Na Ho Ab Khayal Rakho Ki Jitna Suraj Ucha Hota Jaiga Us Larki Ka Saya Chota Hota Jaiga Jb Saya Km Hona Rul Jaie To Samajh Le Ki Thik Dopahair Ho Gya Aur Us Waqt Me Us Larki Ka Jitna Bada Saya Ho Usko Naap Kr Dheaan Me Rakho Uske Baad Jo Hi Saya Padhne Lage To Samajh Lo Ki Suraj Dhal Gaya Aur ,Aur Zohar Ka WAQT Shuru Ho Gya Aur Jab Saya Badhte Badhte Itna Bada Ho Jaie Ki Dopahair Wale Saye Ko Nikaal Kr Us Larki Ka Saya Us Larki Se Doguna Bada Ho Jaie To,Samajh Lo Ki Zohar Ka WAQT Nikal Gaya Aur Aasir Ka Waqt Shuru Ho Gaya JUMMA Ka Waqt Wahi Hai Jo Zohar Ka Waqt Hai,
⇩◑ ✫ AASIR KA WAQT ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Zohar Ka WAQT Khatm Hote Hi ASIR Ka Waqt Shuru Ho JATa Hai Aur Suraj Dubne Tak Raheta Hai Jodo Ki ASR Ka Waqt Takriban Der Ghante Lamba Raheta Hai Aur Garmon Me Kareeb Kareeb Do Ghante (Kuch km Zada Mukhtalif Tarekho Me) Raheta Hai ASIR Ki Namaz Me Hamesha Deer Mustahab Hai Magar Na Itni Deer Ki Suraj Tikiya Me Jarda Aa Jaie..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 03
••──────────────────────••►
❝ NAMAZ KE WQATON KA BAYAN ❞
••──────────────────────••►
⇩◑ ✫ MAGRIB KA WAQT ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Suraj Dubne Ke Baad Se MAGRIB Ka WAQT Shuru Hota Hai Aur Shafaq Jaiyab Hone Tak Raheta Hai Shafak Sr Murad Wa Safedi Hai Jo Suraj Dubne Ki Laali Ke Baad Pacchim Me SUBAH Sadik Ki Safedi Ki Tarha Uttar Dakkhin Me Failti Raheti Hai MAGRIB Ke Waqt Ki Lambaie Hamare Daiyaar ( ELAKA ) Km Se Km Sawa Ghanta Aur Zada Zada Der Ghanta Takriban Hua Karte Hai Aur Hr Din Jitna Lamba Farz Ka Waqt Hota Hai Utna Hi Lamba MAGRIB Ka Waqt Hota Hai
⇩◑ ✫ ESHA KA WAQT ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Shafak Ki Safedi Gayab Hone Ke Baad Se SUBAH Sadik Ki Safedi Zaahir Hone Tak Hai Lekin ESHA Me Tehaie Raat Tak Deer Kirni Mustahab Hai Aur Adhi Raat Tak Mubah Hai Aur Adhi Raat Ke Baad ESHA Ki Namaz Padhni Makhrooh Hai.
⇩◑ NAMAZ'E WITIR KA WAQT ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Wahi Hai Jo Namaz'E ESHA KA WAQT Hai Lekin ESHA Padhne Se Pahele WITIR Nhi Padhi Ja Sakti KYOUKI ESHA Aur WITIR Me Takrib Farz Hai Yaani Zaroori Hai Ki Pahele ESHA Padh Lo Jaie USKE BAAD WITIR Padhi Jaie Agar Kisi Ne Kadan ESHA Ki Namaz Se Pahele WITIR Padh Li Toh Ada Nhi Hogi Balki ESHA Padhne Ke Baad Fir WITIR Padhni Padegi Hai Agar Bhul Kr WITIR ESHA Se Pahele Padh Li Ya Baad Ko Maloom Hua Ki ESHA Begair Wuzu Ke Padhi Thi Aur WITIR Wuzu Ke Sath Padhi Thi to Wuzu Karke ESHA Ki Namaz Padhe Lekin Witir Ko Pahele Padh Li Hai Wah Ada Ho Gii USKO DOHRANA ZAROORI NHI..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 04
••──────────────────────••►
❝ MAKHROOH WAQTO KA BAYAN ❞
••──────────────────────••►
⇩◑ ✫ Mas' aLa ✫ ◑⇩
•──────•
⚘1 ❂•➤ Suraj Nikalta Waqt,
⚘2 ❂•➤ Suraj Doobte Waqt,
⚘3 ❂•➤ Aur Thik Dopahair Ke Waqt Koi Namaz Padhni Jaiz Nhi Lekin Us Din Ki ASIR Agar Nhi Padhi Hai To Suraj Doobne Ke Waqt Padh Le Magar ASIR Me Itni Deer Karke Namaz Padhna Sakht Gunah Hai.
⇩◑ ✫ Mas' aLa ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ In tino Waqto Me Qura'an MAJE'ED Ki Telawat Behtar Nhi Hai ACCHA Yah Hai Ki In Teeno Waqto Me Kalima Ya Tasbeh, Ya Doorood Shareef Wagerah Padhne Me Masgool Rahe. (AALMGIRI)
⇩◑ ✫ Mas' aLa ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Agar In Teeno Waqto Me Janaza Laya Gaya To Usi Waqt Padhe Koi Karahat Nhi Karahat Is Surat Me Hai Ki Janaza In Waqto Se Pahele Laya Gaya Magar Namaz'E Janaza Padhne Me Itni Deer Kr Dii Ke Makhrooh Waqt Aa Gaya. (AALMGIRI )
⇩◑ ✫ Mas' aLa ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Jab Suraj Ka Kinara Zaahir Ho Us Waqt Se Lekar Takreeban 20 Minutes Tak Koi Namaz Jaiz Nhi Suraj Nikalne Ke 20 Minute Baaj Jab Suraj Ek Lathi Ke Barabar Uccha Ho Jaie Uske Baad Hr Namaz Chahe Nafil Ho Ya Quaza Ya Koi Dusri,Padhni Chaiyea.
⇩◑ ✫ Mas' aLa ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂••➤ Jab Suraj Doobne Se Pahele Padh Jaie Us Waqt Se Suraj Doobne Tak Koi Namaz Jaiz Nhi HA Agar Us Din Ki ASIR Abhi tak Nhi Padhi Hai To Us Ko Padh Le Namaz'E ASIR Ada Ho Jaigi Agarche Makhrooh Hogi.
⇩◑ ✫ Mas' aLa ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Thik Dopahair Me Koi Namaz Jaiz Nhi..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 05
••──────────────────────••►
❝ MAKHROOH WAQTO KA BAYAN ❞
••──────────────────────••►
⇩◑ ✫ Mas' aLa ✫ ◑⇩
•──────•
⚘❂•➤ Bahar Waqto Me Nafil Aur Sunnat Namaz E Padhne Ki Mun'naat Hai WA Bahar Waqt Yah Hai
1➧ SUBAH Sadik Se Safedi Nikale Tak Farz Ki Do Rakat Sunnat Aur Do Rakat Farz Ke Siwa Dusri Koi Nhi Namaz'E Nafil Padhni Gunah Hai
2➧ Ekamat Shuru Hone Se Jamaat Khatm Hone Tak Koi Sunnat Wa Nafil Padhni Makhrooh Tahrimi Hai Haan Aabtala Namaz'E Farz Ki Ekamat Gone Lagi Aur Usko Maloom Hai Ki Sunnat Padega Jb Bhi Jamaat Mill Jaigi Agarche Kaadah Hi Sahi To Usko Chaiyea Ki Saafo Se Kuch Door Hat Kr Farz Ki Sunnat Padh Le Aur FiR Jamaat Me Shamil Ho Jaie Aur Agar Wah Yah Janata Hai Ki Sunnat Padega To Jamaat Nhi Melegi To Usko Sunnat Padhne Ki Ejazat Nhi BALKI Usko Chaiyea Ki Bagair Sunnat Pade Jamaat Me Shamil Ho Jaie Farz Ki Ekamat Ke Elava Dusri Namazo Me Ekamat Ho Ja'ane Ke Baad Agarche Ya Jaan Le Ki Sunnat Padhne Ke Baad Bhi Jamaat Mill Jaigi FIR Bhi Sunnat Padhne Ki Ejazat Nhi Balki Sunnat Chor Kr Fouran Jamaat Me Shamil Ho Jana Zaroori Hai
3➧ Namaz'E ASIR Padhne Ke Baad Koi Nafil Namaz Padhni Makhrooh Hai QUQZQ Namaz'E Suraj Dubne Se (20) bes Minute Pahele Tak Padh Sakta Hai
4➧ Suraj Doobne Ke Baad Aur MAGRIB Ka Farz Padhne Se Pahele Koi Nafil Namaz Jaiz Nhi
5➧ Jis WAQT Eeman Apni Jagha Se Jumma Ke Kutba Ke Liye Khada Ho Us Waqt Se Lekar Namaz'E JUMA Khatm Hone Tak Koi Namaz Sunnat Wa Nafil Wagerah Jaiz Nhi
7➧ Aain Kutba Ke Darmiyaan Koi Namaz Sunnat Wa Nafil Wagerah Jaiz Nhi. CHAHE Jumma Ka kutbah Ho Y'a Eedain Ka Ya Grahan Ki Namaz Ka Ya Namaz'E Esitsaka Ka Ya Nikaah Ka LEKIN Ha Shaibe Tattrib Ke Liye Jumma Ke Kutbe Ke Darmiyaan Bhi Quaza Namaz Ko Padh Lena Laazim Hai
7➧ Eid Ki Namaz Se Pahele Nafil Makhrooh Hai Chahe Ghar Me Padhe Ya Masjid Me Ya EID GAAH ME
8➧ Eedain Ki Namaz Ke Baad Bhi Eid-Gaah Ya Masjid Me Namaz'E Nafil Padhna Makhrooh Hai Ha Agar Ghar Me Nafil a Padhe To Ya Makhrooh Nhi
9➧ Maidaan'e Arafah Me JO Zohar Wa ASIR Ek Sath Padhte Hai Un Dono Namazo Ke Darmiyaan Aur Baad Me Nafil Wa Sunnat Makhrooh Hai
10➧ Mujdalfa Me JO MAGRIB Wa ESHA Ek Sath Padhte Hai Un Dono Namazo Ke Beach Me Nafil Wa Sunnat Padhni Makhrooh Hai
(AALMGIRI WA DURRE MUKHTAR )
11➧ Namaz'E Farz Ka Waqt Agar Tang Ho Gaya Ho Toh Hr Namaz Yaha Tak ki Fajir Wa Zohar Ki Sunnaten Padhni Bhi Makhrooh Hai JALDI JALDI FARZ PADH LE TAAKI NAMAZ QUAZA NA HONE PAIE
12➧ Jis Baat Se Dil Bate Aur Usko Door Kr Sakta Ho To Use door Kiye Bagair Hr Namaz Makhrooh Hai MASLAN Pakana Peshab Ya Riyaah Ka Galbah Ho To Aise Halaat Me Namaz Makhrooh Hai Youhi Khana Samne Aa Gaya Aur bhook Lagi Ho Yah Dusri Koi Baat Aise ho Jisse Dil Ko Etmenaan Na Ho To Aise Surat Me Bhi Namaz Padhni Makhrooh Hai AABTAAL Agar Waqt Ja Raha Ho To Aise Halaat Me Bhi Namaz Padh Le Taki Quaza Na Ho Jaie Lekin Fir Us Namaz Ko Dohraie...✍
📬 JANNATI ZEWAR 📚
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 06
••──────────────────────••►
❝ WUZU KA TARIQAH ❞
••──────────────────────••►
⚘⌬ ➤ Bimillah Hir Rahman Nir Rahim Padhe Phir Miswak Kare, Agar Miswak Na Ho Toh Anguli Se Daant Mal-Le Phir Dono Hathon Ko Gatto Tak 3 Baar Dho-Ae Pehle Dahene Haath Par Pani Dalen Phir Baaen Haath Par Dono Ko Ek Saath Na Dho-Ae Phir Dhaene Haath Se 3 Baar Kulli Karen Phir Baaen Haath Ki Chhoti Anguli Se Naak Saaf Karen Aur Dhaene Haath Se 3 Baar Naak Me Paani Chadhaae,Phir Pura Chehra Dhoe Yaani Peshani Par Baal Ugne Ki Jagah Se Thuddi Ke Niche Tak Aur Ek Kaan Ki Lau Se Dusre Kaan Ki Lau Tak Har Hissa Par 3 Martaba Paani Bahaae, Uske Baad Dono Haath Kehniyon Samet 3 Baar Dhoe, Ungulyon Ki Taraf Se Kehniyon Ke Upar Tak Pani Daalen Kehniyon Ki Taraf Se Na Dalen Phir Ek Baar Dono Haathon Se Pure Sar Ka Masah Karen Phir Kaano Ka Aur Gardan Ka Ek Bar Masah Karen,Phir Dono Paaon Takhno Samet 3 Baar Dhoe..✍
📬 Bahare ShariaT 📚
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 07
••──────────────────────••►
❝ NamaZ TahiyaT -uL - Wazu ❞
••──────────────────────••►
⚘FaziLaT ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jo shakhs wazu kare aur us ke baad zaahir aur baatin ke saath motawajjeh ho kar do rik’at namaz (Tahiyatul Wazu) padhe to us ke liye jannat wajib ho jaati hai
📬 Sahi Muslim,Hadis No.234 📒
⚘Mas’aLa ⌬ ➤ Behtar ye hai ki jab bhi wazu kare to wazu ke baad ye do rik’at namaz padh le Kyunki hadees sharif me is ke bade faaide aae hain Hazrat-e-Burida radhi allaho anho bayan karte hain k Ek subah Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Bilal ko bulaya aur farmaya ke Aye Bilal kis amal ki wajah se tum kal raat jannat me mere aage aage chal rahe the,Main ne apne aage tumhare juto ki aa-hat suni Hazrat-e-Bilal radhi allaho anho ne kah Ya Rasolallah Sallallaho alaihe wasallam Main jab bhi wazu karta hun to do rik’at namaz padh leta hun Aur jab bhi mera wazu toot jaata hai to main usi waqt wazu kar leta hun Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki isi wajah se
📬 Al-Mustadrak,Kitab ma’arefatus Sahaba,Hadees No.5245 📘
⚘TariQa ⌬ ➤ Jis tarah se do rik’at nafal namaz padhi jaati hai Thik usi tarah se do rik’at namaz Tahiyatul Wazu bhi padhi jaaegi Sirf niyat ka farq hoga Is ki niyat is tarah se kare ki Ya AllaH Main niyat karta hun do rik’at namaz Tahiyatul Wazu ki tere liye munh mera kaaba sharif ki taraf Allahu Akbar..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 08
••──────────────────────••►
❝ NamaZ TahiyaT -uL - MasjiD ❞
••──────────────────────••►
⚘HaDees ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jo shakhs masjid me daakhil ho to baithne se pahle do rik’at namaz padh le
📬 Sahi Bukhari,Hadis No.444 📒
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Agar koi shakhs aise waqt masjid me daakhil hua jis waqt me nafli namaz padhna makroh hai jaise Asar ke baad to us ke liye hukm hai ki woh Tahiyatul Masjid ki namaz nahi padhe Balki tasbeeh aur darood sharif wagairah padh le to masjid ka haq ada ho jaaega
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Har din ek baar Tahiyatul Masjid ki namaz padh lena kaafi hai har baar zarurat nahi..✍
📬 Bahar-e-Shari’at,Hissa 4,Page No.474.475 📚
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 09
••──────────────────────••►
❝ Namaz - e - CHaashT Aur IshraQ ❞
••──────────────────────••►
⚘ FazilaT ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jo shakhs namaz-e-chaasht ki 12 rik’at padhega,Allah Ta’ala us ke liye jannat me sone ka mahal banaaega
📬 Tirmizi,Hadees No.472 📕
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Zar radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Admi par us ke badan ke har jod ke badle sadqa hai (Aur admi ke badan me 360 jod hain) to har tasbih sadqa hai aur har hamd sadqa hai aur “La ilaha illallah” kahna sadqa hai “Allahu Akbar” kahna sadqa hai Aur achchhi baat ka hukm dena sadqa hai aur buri baat se mana karna sadqa hai Aur un sab ki taraf se do rik’at chaasht ki namaz kaafi hoti hain (Yani jo shakhs chaasht ki namaz do rik’at padh leta hai to us ke har jod ki taraf se sadqa ada ho jaata hai
📬 Sahi Muslim,Hadees No.720 📗
⚘HaDees ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jo shakhs chaasht ki do rik’at namaz paabandi ke saath ada karega to Allah Ta’ala us ke gunaho ko bakhsh dega agarche us ke gunah samandar ke jhaag ke barabar hi kyun na ho
📬 Tirmizi,Hadees No.474 📘
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Chaasht ki namaz me ziyadah se ziyadah 12 rik’aat hain aur kam se kam 2 Is ka waqt suraj ke nikalne ke 20 minute baad se le kar zawal tak hai Aur behtar ye hai ki chauthaai din yani taqriban subah ke 10 ya 10:15 baje padhe.
Namaz-e-Ishraq
•──────•
⚘FazilaT ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jo shakhs fajar ki namaz jama’at se padh kar Allah ka zikr karta rahe yahan tak ki suraj buland ho jaae to woh do rik’at (Namaz Ishraq) padhe to use pure haj aur umrah ka sawab milega...✍
📬 Tirmizi,Hadees No.584 📚
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 10
••──────────────────────••►
❝ Namaz -e- Tauba Aur Tahajjud ❞
••──────────────────────••►
Namaz-e-Tauba
•──────•
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Bakar Siddiq radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jab koi banda gunah kar le phir wazu kar ke do rik’at namaz padhe aur apne gunaho ki maafi chaahe to Allah Ta’ala us ke gunaho ko bakhsh dega
📬 Tirmizi,Hadees No.404 📒
Namaz-e-Tahajjud
•───────•
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Hurairah Radhi Allaho Anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Har raat ko jab aakheri hissa baaqi rah jaata hai to Allah Ta’ala aasman-e-dunya par apni khaas tajalli farmata hai Aur farmata hai ki Hai koi dua karne wala ki main uski dua ko qabool kar lun Hai ko maangne wala ki main use ata kar dun Hai koi apne gunaho ki bakhshish chaahne wala ki main us ke gunaho ko bakhsh dun
📬 Sahi Bukhari,Kitabut Tahajjud,Hadees No.1152 📗
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 11
••──────────────────────••►
❝ Namaz -e- Tauba Aur Tahajjud ❞
••──────────────────────••►
Namaz-e-Tauba
•──────•
⚘HaDees ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jo shakhs raat ko jaage aur apni biwi ko jagaae phir dono do rik’at namaz padhe to un dono ka naam Allah Ta’ala ko ziyadah se ziyadah yaad karne walo me likh diya jaata hai
📬 Al-Mustadrak,Hadees No.123 📒
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Tahajjud ki namaz me kam se kam do rik’at hai aur ziyadah se ziyadah Huzur Sallallaho alaihe wasallam se 8 rik’at tak saabit hai Jaisa ki Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha se Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki raat ki namazo ke baare me puchha gaya to unhone kaha ke Ramzan ho ya dusre mahine Huzur Sallallaho alaihe wasallam 11 rik’at se ziyadah nahi padhte the.Yani 8 rik’at Tahajjud aur 3 rik’at vitr
📬 Sahi Bukhari,Kitabut tahajjud,Hadis No.1147 📘
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Is ka waqt Isha ke baad so kar uthne ke baad se le kar Fajar tak hai
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Ye namaz do do rik’at kar ke bhi padh sakte hain aur 4/4 kar ke bhi Aur iski rik’ato me khaas surah Ekhlaas hi ka padhna zaruri nahi hai koi bhi Surah padh sakte hain..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 12
••──────────────────────••►
❝ Namaz - e - HaajaT ❞
••──────────────────────••►
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Huzaifa radhi allaho anho bayan karte hain ki Jab Huzur Salllallaho alaihe wasallam ko koi khaas maamla pesh aa jaata to Aap Salllallaho alaihe wasallam namaz padhte the
📬 Sunan Abu Dawood,Hadees No.1319 📒
⚘HaDees ⌬ ➤ Huzur Salllallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jab kisi ko koi zarurat pesh aa jaae Allah se ya kisi bande se to achchhi tarah se wazu kare phir do rik’at namaz padh kar Allah Ta’ala ki hamd aur taarif kare aur Nabi Salllallaho alaihe wasallam par darood bheje phir ye dua padhe Laa-ilaaha Illallahul halimul karim Subhan allahi rabbal arshil azeem Al-hamdu lillahi rabbil aalameen As’aluka moojibaati rahmatika wa azaaima magfiratika wal-ganimata min kulli birrin was-salamata min kulli ismin laa tad’a lee zamban illa gafar-tahu wa laa hamman ilaa faraj-tahu wa laa haajatan hia laka rizan ilaa qazaitaha Ya Arhamar raahemeen..✍
📬 Tirmizi,Hadees No.478 📚
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 13
••──────────────────────••►
❝ Namaz - e - HaajaT ❞
••──────────────────────••►
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Usman bin Hanif radhi allaho anho bayan karte hain ki Ek andha shakhs Huzur Salllallaho alaihe wasallam ke paas aaya aur arz kiya ki Ya Rasool allah Salllallaho alaihe wasallam Mere liye dua kar dijiye ki Allah Ta’ala mujhe thik kar de To Aap Salllallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Agar chaaho to dua kar dun aur chaaho to tum sabr kar lo aur ye tumhare liye behtar hoga.Unhone kaha ki dua kar dijiye To Aap Salllallaho alaihe wasallam ne un se farmaya ki jaao! Achchhi tarah se wazu kar ke do rik’at namaaz padho aur us ke baad is tarah se dua maango Allahumma inni As’aluka wa atawajjahu ilaika bi-nabiyeka Muhammadin nabiyer Rahmati Ya Muhammadu inni Qad tawajjahtu bika ilaa rabbi fee haajati haazehi li-tuqza lee Allahumma fashaffe’hu fiyya Hazrat-e-Usman bin Hanif radhi allaho anho bayan karte hain ki Khuda ki Qasam Abhi ham log usi jagah the aur baaten hi kar rahe the ki woh shakhs (namaz aur dua se faarig ho kar)hamare paas aaya to aisa maloom ho raha tha ki woh kabhi andha tha hi nahi..✍
📬 Sunan Ibn-e-Majah,Hadees No.1385.Tirmizi,Hadees No.3589 📚
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 14
••──────────────────────••►
❝ NamaZ SaLatuT TasBeeH ❞
••──────────────────────••►
⚘FazilaT ⌬ ➤ Is namaz me be-inteha sawab hai Buzurgaan-e-deen farmate hain ki Is ki buzurgi aur fazilat sun kar bhi is namaz ko na padhne wala deen me susti karne wala hai Huzur Rahmat-e-Aalam Salllallaho alaihe wasallam ne apne chacha Hazrat-e-Abbas radhi allaho anho se farmaya ki Aye chacha Kya main aap ko ata na karun? Kya main aap ko bakhshish na karun? Kya main aap ke saath ehsaan na karun?Kya main aap ko na dun? 10 baaten hain jab aap ise karenge to Allah Ta’ala aap ke har gunah ko agla, pichhla, puraana, naya, Jo bhool kar hua, aur jo jaan boojh kar hua, Chhota, bada, Poshida aur zaahir har tarah ke gunah ko maaf farma dega Ye farmane ke baad Aap Salllallaho alaihe wasallam ne un ko Salatut Tasbeeh ki namaz padhne ka tariqa bataya Aur farmaya ki Agar aap se ho sake to har din ek baar padh liya kijiye Agar har din nahi ho sake to har juma ko ek baar padh liya kijiye Aur agar har juma ko bhi na ho sake to saal me ek baar padh liya kijiye Aur ye bhi na ho sake to puri zindagi me ek baar zarur padh lijiyega..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 15
••──────────────────────••►
❝ NamaZ SaLatuT TasBeeH ❞
••──────────────────────••►
⚘TariQa ⌬ ➤ Is namaz ke padhne ka tariqa Hazrat-e-Abdullah bin Mubarak ki riwayat ke mutabiq jo Tirmizi sharif me hai, ye hai ki 4 rik’at namaz Salatut Tasbeeh ki niyat kar ke Allahu Akbar kahte hue haath baandh le aur Sana padhe Phir 15 martabah ye tasbeeh padhe *Subhan-allahi, wal hamdu lillahi, wa laa ilaaha illallahu, wallahu akbar* Phir Aoozubillah aur bismillah ke saath Surah Fatiha aur koi surah padh kar 10 martabah yahi Tasbeeh padhe, Phir Ruku kare aur Ruku me Subahana Rabbiyal Azeem padhne ke baad 10 baar padhe Phir Ruku se sar uthaae to *Sami-allahu liman hamidah* aur *Rabbana wa lakal hamd* kahne ke baad 10 baar padhe phir sajda me jaae aur sajda ki tasbeeh padhne ke baad wahi tasbeeh 10 baar padhe Phir sajde se sar utha kar 10 baar padhe phir dusre sajde me bhi sajde ki tasbeeh padhne ke baad 10 baar padhe Isi tarah se 4 Rik’at padhe Har rik’at me Al-hamdu aur surah se pahle 15 baar aur baaqi har jagah par 10 baar Har rik’at me 75 baar tasbeeh aur 4 rik’at me 300 martabah hongi..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 16
••──────────────────────••►
❝ NamaZ SaLatuT TasBeeH ❞
••──────────────────────••►
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Behtar hai ki is namaz me Surah Takaasur,Wal-Asr aur Surah Kaaferoon aur Surah Ekhlaas padhe
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Agar is namaz me koi aisi bhool hui jis ki wajah se sajda sahu karna pade to us sajde me ye tasbeeh nahi padhi jaaegi Aur agar kisi jagah par bhool kar 10 baar se kam padhi to dusri jagah par utna aur padh le ki ginti puri ho jaae
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Tasbeeh ungulyon par nahi gine balki ho sake to dil hi dil me gine nahi to ungulyon ko daba kar
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Ye namaz har gair makrooh waqt me ada ki jaa sakti hai magar behtar ye hai ki Zuhar ki namaz se pahle padhe..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 17
••──────────────────────••►
❝Namaz - e - IstekHaraH ❞
••──────────────────────••►
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Jaabir bin Abdullah Radhi Allahu Anhuma bayan karte hain ki Huzur Salllallaho alaihe wasallam ham logo ko tamaam kaamo me Istekhaarah ki taalim aise hi dete the jaise Quran ki surah sikhaate the
IstekHaare ka TariQa
•─────────•
⚘ ⌬ ➤ Jab koi shakhs kisi kaam ka iraada kare to use chaahiye ki do rik’at nafil namaz padhe phir ye dua padhe *Allahumma inni astakhiruka bi-ilmika wa as-taqdiruka bi-qudratika wa as’aluka min fazlikal azeem,Fa-innaka taqdiru wa laa aqdiru wa ta’lamu wa laa a’alamu wa anta allamul guyoob Allahumma in kunta ta’lamu anna haazal amra khairul lee fee deeni wa ma-ishati wa aaqibati amri wa aajil amri wa aajilihi fa-yassar-hu lee,thumma baarik lee feehi Wa in kunta ta’lamu ann haazal amra sharrul lee fee deeni wa ma-ishati wa aaqibati amri fas-rif-hu a’nni was-rifni anhu waqdur leeyal khaira haisu kaana, thumma arzini bihee*
⚘NOTE ⌬ ➤ anna haazal amra ye lafz padhte waqt apni zarurat ko apne dimaag me rakhe aur chaahe to ye lafz padh kar apni zarurat ka zikr kare phir aage dua padhe.
⚘mas'ala ⌬ ➤ Behtar ye hai ki 7 baar istekhaarah kare kyunki ek hadees me aaya hai ki Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne hazrat-e-Anas radhi allahu anho se farmaya ki/Aye Anas Jab to kisi kaam ka iraada kar to apne Rab se uske baare me 7 baar istekhaara kar phir dekh ke tumhaare dil me kya guzra To jo guzre woh kar ki beshak us me bhalaai hai..✍
📬 Kanzul Ummal,Hadees No.215356 📚
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 18
••──────────────────────••►
❝ NamaZ - e - JanaZa ❞
••──────────────────────••►
⚘mas'ala ⌬ ➤ Namaz-e-Janaza padhna farz-e-Kifaaya hai Agar ek ne bhi padh liya to sab ki taraf se ho gaya Aur agar ek ne bhi nahi padha to jin jin logo tak khabar pahunchi thi woh sab ke sab gunah-gaar honge.
Namaz -e- Janaza padHne ka tariQa •───────────────•
⚘ ⌬ ➤ Namaz-e-Janaza ki niyat kar ke Allahu Akbar kahte hue dono haatho ko kaan ki lau tak uthaae aur naaf ke niche bandh le phir sana padhe
۔سُبْحٰنَکَ اللّٰھُمَّ وَ بِحَمْدِکَ وَ تَبَارَکَ ا سْمُکَ وَتَعَالٰی جَدُّک َ وَجَلَّ ثَنَا ؤُکَ وَ لَااِلٰہَ غَیْرُکَ
*Subhanakallah Humma, Wa Bihamdika, Wa Tabarakasmuka, Wa Ta’ala Jadduka, Wa jalla sanaa-uka Wa Laa ila’ha Ghairuk”* Phir begair haath uthaae Allahu Akbar kahe aur darood-e-ibrahim padhe Phir *Allahu Akbar* kah kar apne aur mayyat aur tamam musalmano ke liye dua kare Behtar ye hai ki un duao me se koi dua padhe jo hadiso me aaya hai Baalig mard aur aurat ke janaaze ke liye mash’hoor dua ye hai
اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِحَیِّنَاوَ مَیِّتِنَاوَشَا ھِدِ نَاوَغَا ئِبِنَا وَ صَغِیْرِنا وَ کَبِیْرِنَاوَذَکَرِنَاوَاُنْثَانَا۔اَللّٰھُمَّ مَنْ اَحْیَیْتَہٗ مِنَّا فَاَ حْیِِِہِ عَلَی الْاِ سْلاَمِ وَمَنْ تَوَفَّیْتَہٗ مِنَّا فَتَوَفَّہٗ عَلَی الْاِیْمَانِ۔
*Allahummaghfir Lihayyina Wa Mayyitina Wa Shahidna Wa Gha’ibina Wa Saghirina Wa Kabirina Wa Zakarina Wa Unsana Allahumma Man Ahyaitahu Minna Faahyihi Alal-Islam Wa Man Tawaffaytahu Minna Fa Tawaffahu Alal Imaan* Nabalig mard ki dua ye hai
اَللّٰھُمَّ اجْعَلْہٗ لَنَا فَرَطاََ وَّ اجْعَلْہٗ لَنَاذُخْراََ وَّاجْعَلْہٗ لَنَا شَافِعاََ وَّ مُشَفَّعاََ
*Allahummaj alhu lana farataw waj-alhu lanaa zukhraw waj-alhu lanaa shaafiaw wa-mushaffiaa* Nabaliga Aurat ki dua ye hai
اَللّٰھُم اجْعَلْھَا لَنَا فَرَطاََ وَّ اجْعَلْھَالَنَاذُخْراََ وَّ اجْعَلْھَالَنَا شَافِعَۃََ وَّ مُشَفَّعَۃََ
*Allahummaj alha lana farataw waj-alha lanaa zukhraw waj-alha lanaa shaafiataw wamushaffiah* Dua padhne ke baad phir Allahu Akbar kah kar haath chhod de aur dono taraf salaam pher de..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 19
••──────────────────────••►
❝ NamaZ - e - JanaZa ❞
••──────────────────────••►
⚘mas'ala ⌬ ➤ Behtar ye hai ki namaaz-e-Janaza me 3 saff lagaae Hadees sharif me hai ki jis ki namaaz 3 saff ne padhi uski magfirat ho jaaegi Aur agar sirf 7 hi shakhs ho to ek imam bane aur 3 pahli saff me aur 2 dusri saff me aur ek tisari saff me rahe Aur agar bahut ziyadah log hon to 5 ya 7 ya 9 ya 11 yani taaq saff banaae kyunki taaq ginti Allah ko pasand hai
⚘mas'ala ⌬ ➤ Behtar ye hai ki imam mayyat ke sine ke saamne khada ho aur mayyat se door na ho chaahe mayyat mard ho ya aurat baalig ya nabalig Ye us waqt hai jab ki ek hi mayyat ki namaaz padhni ho aur agar ek se ziyadah hon to ek ke sine ke saamne aur qarib khada ho
⚘mas'ala ⌬ ➤ Namaz-e-Janaza me kul 4 takbiren hoti hain Ab agar koi shakhs us waqt aaya jab ki ek ya do takbir ho chuki thi To woh fauran shaamil nahi ho,Balki us waqt ho jab imam takbir kahe Aur agar fauran shaamil ho gaya to imam ke takbir kahne se pahle us ne jo kuchh ada kiya us ka koi etebaar nahi hoga Aur agar wahi maujood tha magar gaflat ki wajah se der hui ya niyyat hi karta rah gaya to aisa shakhs intezaar nahi kare ki jab imam dusri takbir kahega tab shamil honge balki fauran shaamil ho jaae..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 20
••──────────────────────••►
❝ NamaZ - e - JanaZa ❞
••──────────────────────••►
⚘mas'ala ⌬ ➤ Jis shakhs ki kuchh takbiren chhot jaae to woh apni baaqi takbiren imam ke salaam pherne ke baad kahe Aur agra ye dar ho ki duaen padhega to puri karne se pahle hi log mayyat ko kandhe tak uthaa lenge to sirf takbiren kah le aur duaaen chhod de
⚘mas'ala ⌬ ➤ Jab kaee janaze aa jaae to ek saath sab ki namaaz-e-janaza padh sakte hain Yani ek hi namaaz me sab ki niyyat kare Aur afzal ye hai ki sab ki alag alag padhe aur jab alag alag padhe to sab se pahle uski padhe jo un me sab se ziyadah afzal hai
⚘mas'ala ⌬ ➤ Jab kaee janaaze ek saath padhana ho to ekhtiyar hai ki sab ko aage pichhe rakhe yani sab ka sina imam ke muqaable me ho ya barabar barabar rakhe Yani ek ke pair ya sar ke paas dusre ko aur dusre ke pair ya sar ke paas tisare ko
⚘mas'ala ⌬ ➤ Masjid me namaaze janaza padhna makruh-e-Tahrimi hai ki Chaahe mayyat ko masjid ke andar rakha jaae ya bahar Sab namaaz padhne wale masjid me ho ya kuchh Kyunki hadees sharif me janaza masjid me padhne se mana kiya gaya hai..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 21
••──────────────────────••►
❝ Namaz - e - EiD ❞
••──────────────────────••►
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam Madina sharif aae to us zamaane me Madina sharif ke log saal me do din khushi manaate the ( Ek Mehargaan ke din aur dusri Neerooz ke din ) Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne puchha ki ye kaisa din hai? Logo ne arz kiya ki ham log zaaheliyat ke zamaane me in dino me khushi manaate the To Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Allah Ta’ala ne in ke badle me in se behtar do din tumhe ata farmaya hai Ek Eid-ul-Fitr ka din aur dusra Eid-ul-Azha ka din
📬 Sunan Abu Dawood,Hadees No.1134 📕
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Ibn-e-Abbas Radhi Allaho Anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Eid ki namaz do rik’at padhi, Nahi us se pahle namaz padhi aur nahi baad me..✍
📬 Sahi Bukhari,Hadees No.964 📚
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 22
••──────────────────────••►
❝ Namaz - e - EiD ❞
••──────────────────────••►
⚘TareeQa ⌬ ➤ Namaz-e-Eid padhne ka tareeqa ye hai ki Do rik’at waajib namaz Eid-ul-Fitr ya Eid-ul-Azha ki niyat kar ke kaano tak haath uthaae aur Allahu Akbar kah kar haath baandh le Phir Sana padhe Phir kaano tak haath uthaae aur Allahu Akbar kahte hue chhod de Phir kaano tak haath uthaae aur Allahu Akbar kahte hue chhod de Phir kaano tak haath uthaae aur Allahu Akbar kahte hue haath baandh le Yani pahle baar Allahu Akbar kah kar haath baandhe,Uske baad do takbiro me haath chhod de Aur phir chauthi takbeer me haath baandh le Is ko is tarah bhi yaad rakh sakte hain ki jahaan par kuchh padhna hai wahan par haath baandh le aur jahan par kuchh nahi padhna hai wahan par haath chhod de Phir Imam Auzubillah aur bismillah padh kar Surah Fatiha aur koi surah buland awaaz se padhe (Qirat ke waqt imam ke pichhe padhne wale log chup rah kar gaur se imam ki tilawat sune) phir ruku aur sajda kare Dusari rik’at me imam Pahle Surah Faatiha aur Surah padhe (Aur Muqtadi khaamosh rahe)phir 3 baar kaan tak haath le jaa kar Allahu Akbar kahe aur haath chhod de Aur Chauthi baar begair haath uthaae Allahu Akbar kahte hue Ruku me chaale jaae aur baaqi namaz puri kare..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 23
••──────────────────────••►
❝ Suraj GarHan Aur Chand GarHan ki NamaZ ❞
••──────────────────────••►
⚘HaDees ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Musa radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke zamaane me ek baar suraj me garhan lag gaya to Aap Sallallaho alaihe wasallam masjid me aae aur bahut lambi namaaz padhi ki main ne pahle kabhi aisa karte nahi dekha Phir Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Allah Ta’ala kisi ki maut ya zindagi ki wajah se apni ye nishaani zaahir nahi farmaata hai lekin is se apne bando ko daraata hai Is liye jab aisa kuchh dekho to zikr,dua aur istigfaar ki taraf ghabra kar utho
📬 Sahi Bukhari,Hadees No.1059 📒
⚘Mas'ala ⌬ ➤ Tez aandhi aae ya din me bilkul andhera chha jaae ya raat me khauf-naak raushni ho ya lagaataar bahut ziyadah baarish ho ya aasman laal ho jaae ya bijli gire ya bahut ziyadah taare toote ya koi waba phail jaae ya zalzala aae ya dushman ka khauf ho ya aur koi dahshat-naak baat paai jaae to in sab surato me do rik’at namaaz padhna mustahab hai..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 24
••──────────────────────••►
❝ Suraj GarHan Aur Chand GarHan ki NamaZ ❞
••──────────────────────••►
⚘mas'ala ⌬ ➤ Suraj Garhan ki namaaz sunnat-e-mo’akkidah hai aur chaand Garhan ki namaaz mustahab Suraj garhan ki namaaz jama’at se padhna behtar hai,Aur tanha tanha bhi ho sakti hai
⚘mas'ala ⌬ ➤ Garhan ki namaaz usi waqt padhe jab Garhan laga hua ho,aur agar aise waqt me garhan laga jis waqt me namaaz padhna makrooh hai to namaaz nahi padhe balki zikr aur dua me mash-gool ho jaae
⚘mas'ala ⌬ ➤ Ye namaaz aur nafil namaaz ki tarah se do rik’at padhe Is me nahi azaan hai aur nahi iqaamat aur nahi buland awaaz se tilaawat Namaaz ke baad dua karte rahe yahan tak garhan khatam ho jaae Agar koi shakhs chaahe to do rik’at se ziyadah bhi padh sakta hai aur is surat me chaahe to do rik’at par salam phere aur chaahe to chaar par..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 25
••──────────────────────••►
❝ AZMAT E NAMAZ KA BEYAN ❞
••──────────────────────••►
⚘⌬ ➤ Iman Ki Durusti Aur AQIDE Ki Pukhtagi Mutabiq Ahle sunnat O Jamat Ke Baad Har Musalman AQIL O Balig Mard O Aurat Par Tamam Fara'iz Me Ahem Farz NAMAZ Ka Padhna Hai,
⚘⌬ ➤ Namaz Ki Ahmiyat O Afadiyat Par Quran O Hadees Me Jagah Jagah Fazilaten Warid Hui Hain
⚘⌬ ➤ Iske Ada Par Sakht Takeed Aur Tark Par Sakht Wa'eeden Aai Hain
⚘⌬ ➤ Allah Ta'ala Irshad Farmata Hai,
⇩◑ ✫ Quraan ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Ye Kitab (Quran) Parhezgro Ko Hidayat Hai Jo Gaib (Allah, Farishte, Jannat, Jahannam, Mehshar Etc) Par Iman Laye, aur Namaz Qayam Rakhte Hain
📬 SuraH BAQRAH, AyaT -3 📗
⇩◑ ✫ Quraan ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Kharabi Hai Un Namaziyon Ke Liye Jo Apni Namaz Se Be-Khabar Hain, WAQT Guzar Kar Padhne Uthte Hain.
📬 SuraH Maoon AyaT - 5 📒
⚘⌬ ➤ Jahannan Me Eik Wadi Hai Jiski Sakhti Se Jahannam Bhi Panah Mangta Hai Uska Naam Wail Hai, WAQT Guzar Kar Namaz Padhne Wale Usme Dale Jayenge.
⚘⌬ ➤ Allahu Akbar Sirf Be-WAQT Padhne Walon Ka Ye HaaL Hoga Aur Jo Padhte Hi Nahi Hai Unka Kya Banega??
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Hazrat Abdullah Bin Masood Ne Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم Se Pucha Allah Pak Ko Sab Se Pasand Kaunse Aamal Hai?
⚘⌬ ➤ Farmaya Huzoor Ne, WAQT Ke Andar Namaz Padhna, Pucha Phir?
⚘⌬ ➤ Farmaya Maa Baap Ke Saath Neki Karna Pucha Phir??? Farmaya Allah Ki Raah Me Jihad Karna...✍
📬 Sahi Bukhari, Kitab Mawaqitus'salat, Jild-1, Page-196, Hadees No-527 📚
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 26
••──────────────────────••►
❝ AZMAT E NAMAZ KA BEYAN ❞
••──────────────────────••►
⚘⌬ ➤ Eik Saheb Ne Arz Ki Ya Rasu'lallah صلی اللہ علیہ وسلم Allah Ko Sab Se Ziyadah Kya Pasand Hai? Farmaya, WAQT Me Namaz Padhna, Jisne Namaz Chhodi Uska Koi Deen Nahi, Namaz Deen Ka Sutoon (Khamba) Hai
📒 Shabul Iman, Jild-3, Page-39 📒
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Hazrat ABU HURAIRAH Se Marwi Hai Farmaya Huzoore Pak Ne, Jo Shakhs Apne Ghar Se Taharat (Wazu Aur Gusl) Kar Ke Farz Ada Karne Masjid Gaya Uske Eik Qadam Me 1 Gunah Mit'ta Hai Aur Dusre Qadam Pe 1 Darja Baland Hota Hai
📗 SAHI MUSLIM, KITABUL MASAJID, Hadees No-666 📗
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Sarkare Azam Ne Farmaya Musalman Ke Pure Badan Ko Aag Khayegi (Jo Musalman Apni Shamate Nafas Ki Bina Par Jahannam Me Jayga Uske) Siwaya Aazaye Sujood (Sajde Me Badan Ka Jo Hissa Zameen Par Lagta Hai Use Chhod Kar) Ke, Allah Pak Ne Unka Khana Aag Par Haram Farma Diya
📘 SUNANE IBANE MAJAH, BAB SIFTUN'NAR, Hadees-4326 📘
⚘⌬ ➤ Niche Darj Ahadeese Tayyeba Ka Ba-gaor Mutala Kare Aur Sochen Kahi Hum Isse Gafil To Nahi??
⚘⌬ ➤ Sunniyat Ke Balando Bala Daawe Shiddat Ke Naare Aur Amal 0 (Zero) Asle Sunniyat Aur Maslke Pe Chalna Pure Deen Par Chalna Hai, BA-NAZRE Ga'ir Mundareja Zail Ahadees Ko Bar Bar Padhe
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Huzoore Akram Sallallahu Alaihi Wassalam Ka Irshade Girami Hai,
⚘⌬ ➤ AllaH Bande Ko Is Haal Me Ziyadah Pasand Farmata Hai Ki Wo Sajde Me Apna Muh Khak (Zameen) Par Mal Raha Ho
📕 Tabrani, Jild-4, Hadees No-6085 📕
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Har Shaye (Chiz) Ki Alamat (Nishan, Jisse Wo Pehchani Jaye) Hoti Hai Aur Iman Ki Alamat Namaz Hai
📒 Mazkhooz Az Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-439, Ba-Hawala Munyatul Musalli 📒
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Namaz Deen Ka Sutoon Hai Jisne Use Qayam Rakha Usne Deen Ko BAQI Rakha Aur Jisne Use Chhod Diya Usne Deen Ko Gira Diya..✍
📬 Bahar-E-ShariaT 📚
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 27
••──────────────────────••►
❝ AZMAT E NAMAZ KA BEYAN ❞
••──────────────────────••►
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Islam Me Uska Koi Hissa Nahi Jiske Liye Namaz Nahi Hai.
📬 Kanzul Ummal, Jild-7, Page-133 📒
⚘⌬ ➤ Tarikeen Namaz Jo Imano Aqide Ki Badi Badi Baten Karte Hain Is Farmane Rasool Sallallahu Alaihi Wassalam Se Ibrat Hasil Karen.
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ Jisne Namaz Ki Hifazat Kee Wo Qayamat Ke Din Uske Liye Noor Aur Daleel Aur Nijat Hogi Aur Jisne Namaz Ki Hifazat Na Kee Uske Liye Na Noor Na Daleel Na Najat Hogi Aur Qayamat Ke Din Wo Qaroon Firon Haman Aur Ubai Bin Khalf Ke Saath Hoga.
📬 Musnade Imam Ahmad Bin Hambal 📘
⇩◑ ✫ HaDees ✫ ◑⇩
•──────•
⚘⌬ ➤ SAHABA NAMAZ KE CHHODNE WALE KO KAFIR JANTE THE, Jinme Hazrat Umar, Hazrat Abdur Rahman, Hazrat Abdullah Bin Masood, Hazrat Abdullah Bin Abbas, Hazrat Jabir Bin Abdullah Aur Hazrate Muaaz Aur Abu Hurairah Ka Yahi Mazhab Hai Ki Be-Namazi Kafir Hai Imam Ahmad Bin Hambal Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Nakhi Ke Nazdeek Bhi Be-Namzi Kafir Hai Haan Hamare Imam Sarkar Abu Hanifa Aur Bahot Se Sahaba Be-Namzi Ko Kafir Nahi Jante Magar Yahi Kya Kam Hai Ki Bade Bade Sahaba Ne Kafir Kaha???
📕 [ جامع ترمذی، ابواب الایمان، باب ما جاء في ترک الصلوة، الحديث-۲۶۳۱ ] 📕
⚘⌬ ➤ Ba-Gaor Padhe Ye Sab Allah Ke Mehboobe Azam Sallallahu Alaihi Wassalam Ke Farameen Aur Uske Sohbat Yafta Jannati Jamat Sahaba ke AQWAL Hai Kya Isse Badh Kar Kisi Ki Baat Ho Sakti Hai, Namazo Ka Chhodna Aur Shafat Pe Nazan Hona Ya Kisi Pe Takya Kar Lena Ki Falan Kaam Aajyega Ye Mahez Kham Khali Aur Jhooti Aas Hai
⚘⌬ ➤ Allah Ta'ala Hum Sab Ko Deen O Sunniyat Par Qayam Rakhe Aur Har Farz O Wajib Ko Unke WAQTON Pe Ada Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye ★AameeN★
*📮☞ ροѕT єηD 🔄*
••──────────────────────••►
No comments:
Post a Comment